Friday 20 December 2019

Main dard likhta hoon

Main dard likhta hoon
main dard sehta hoon
main dard dekhta hoon
main dard sehta hoon

per main kuch nai karta
likta hoon per kuch nai karta
sehta hoon per kuch nai karta
dekhta hoon per kuch nai karta
sehta hoon per kuch nai karta

aik khuf tari hai
aik jalan baki hai
aik taluq ka lihaz hai
aik umeed baki hai

sab jal raha hai
sab chal raha hai
na janay kab tak chalay ga
yeah sub jo chal raha hai

Bezar hoon zindagi se
mout ka intezar hai
na janay kab se yeahi takrar hai
keh bolon ya na bolon sub jal raha hai.